Jurat Qalandar Bakhsh

kal jo rone par mere Tuk dhyan us ka paD gaya

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
kal jo rone par mire Tuk dhyān us kā paḌ gayā
hañs ke yuuñ kahne lagā ''kuchh aañkh meñ kyā paḌ gayā?''
baiThe baiThe aap se kar baiThtā huuñ kuchh gunāh
paañv paḌne kā jo us ke mujh ko chaskā paḌ gayā
jañg-jūī kyā kahūñ us kī ki kal-parsoñ meñ aah
sulh Tuk hone na paa.ī thī ki jhagḌā paḌ gayā
sozish-e-dil kuchh na pūchho tum ki Tuk siine pe raat
haath rakhte hī hathelī meñ phaphūlā paḌ gayā
bas ki thā be-bāl-o-par maiñ dāman-e-sayyād par
ḳhuun bhī uḌ kar dam-e-bismil na merā paḌ gayā
jo mire bad-go haiñ tum un ko samajhte ho bhalā
vāh-vā mujh se tumheñ ye bair achchhā paḌ gayā
kyuuñ paḌā dam toḌtā hai bistar-e-ġham par dilā
aah kis be-dard ke milne meñ toḌā paḌ gayā
behtarī kā muñh na dekhā mar hī kar paa.ī najāt
kuḌhte kuḌhte dil mirā bīmār aisā paḌ gayā
bāteñ karte karte pyāre dil dhaḌakne kyuuñ lagā
sun ke kuchh aahaT kaho kyā dil meñ khaTkā paḌ gayā
ruk gayā aisā hī vo jo phir na aayā kal jo Tuk
haath us ke paañv par bhūle se merā paḌ gayā
maiñ to yaañ is baat par apne paḌā maltā huuñ haath
aur saare shahr meñ kuchh aur charchā paḌ gayā
garche huuñ maiñ naam ko 'jur.at' par ab us kī taraf
aañkh uThā saktā nahīñ ye dil meñ ḳhatrā paḌ gayā
Top Urdushayar.com