sanam hazār huā to vahī sanam kā sanam
ki asl hastī-e-nābūd hai adam kā adam
isī jahān meñ goyā mujhe bahisht milī
agar rakhoge mire par yahī karam kā karam
abhī to tum ne kiye the hamārī jāñ-baḳhshī
phir ek dam meñ vahī nīmchā alam kā alam
vo gul-badan kā ajab hai mizāj-e-rañgā-rañg
fajar kuuñ lutf to phir shaam kuuñ sitam kā sitam
na rakh 'sirāj' kisī ḳhūb-rū señ chashm-e-vafā
sanam hazār huā to vahī sanam kā sanam