barham kabhī qāsid se vo mahbūb na hotā
gar naam hamārā sar-e-maktūb na hotā
ḳhūbān-e-jahāñ kī hai tire husn se ḳhūbī
tū ḳhuub na hotā to koī ḳhuub na hotā
islām se bargashta na hote ba-ḳhudā ham
gar ishq-e-butāñ tab.a ke marġhūb na hotā
kyuuñ pher vo detā mujhe le kar mire bar se
itnā jo dil-e-zār ye ma.ayūb na hotā
is but ko ḳhudā laayā hai ham paas vagarna
jiine kā hamāre koī uslūb na hotā
dil aaj ke din paas jo hotā mire to aah!
aane se maiñ us shoḳh ke mahjūb na hotā
haiñ lāzim-o-malzūm baham husn o mohabbat
ham hote na tālib jo vo matlūb na hotā
sar apnā rah-e-ishq meñ detā jo na 'jur.at'
tū majma-e-ushshāq kā sarkūb na hotā