Jurat Qalandar Bakhsh

dard apna main isi taur jata rahta hun

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
dard apnā maiñ isī taur jatā rahtā huuñ
hasb-e-hāl us ko ka.ī sher sunā rahtā huuñ
ik hī jā rahne kā hai ghar pa usī ghar meñ aah
dil ye rahtā hai judā aur maiñ judā rahtā huuñ
baat meñ kis kī sunūñ aah ki ai murġh-e-chaman
shor meñ apne hī nāloñ ke sadā rahtā huuñ
baare itnā hai asar dard ke afsāne meñ
ek do shaḳhs ko har roz rulā rahtā huuñ
bazm-e-ḳhūbāñ meñ ye sar go kaTe rone pe mirā
sham.a-sāñ ashk par āñkhoñ se bahā rahtā huuñ
āh-o-nāla meñ agar kuchh bhī asar hai mere
to maiñ us shoḳh ko ik roz bulā rahtā huuñ
husn aur ishq kā kyā zikr karūñ mat pūchho
in dinoñ ziist se bhī apnī ḳhafā rahtā huuñ
dil lagā jab se mirā aah tabhī se 'jur.at'
kitnī hī āfateñ har roz uThā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com