Jurat Qalandar Bakhsh

raat jab tak mere pahlu mein wo dildar na tha

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
raat jab tak mire pahlū meñ vo dildār na thā
dil ko mujh se mujhe kuchh dil se sarokār na thā
gird us kūche ke kis din ye gunāhgār na thā
vaa.e hasrat ki koī raḳhna ba-dīvār na thā
kal to bīmār ko thā tere na bistar pe qarār
aaj bistar thā faqat aur vo bīmār na thā
shukr ai bād-e-fanā juuñ shajar-e-soḳhta maiñ
thā to gulshan meñ vale qābil-e-gulzār na thā
nahīñ til dharne kī jāgah jo ba-afzūnī-e-husn
dekhā shab us ko to ik ḳhaal ba-ruḳhsār na thā
raat kyā baat thī batlā tire sadqe jā.ūñ
aa.heñ bharnā vo tirā ḳhālī-az-asrār na thā
dil ko dhar nok-e-sināñ par vo ye bolā hañs ke
ham ne mansūr ko dekhā ba-sar-e-dār na thā
bahs meñ chashm-e-tar-o-abr kī kal thā jo samāñ
kabhī is shakl se rone kā bañdhā taar na thā
zab.h ham sāmne hote hī hue qātil ke
bāvajūde-ki koī haath meñ hathiyār na thā
ba.ad murdan mire tābūt pe sab rote the
chashm-e-pur-āb magar ik vo sitamgār na thā
lek kyā muñh ko chhupātā thā jo kahte the ye log
us ko zāhir meñ to marne kā kuchh āzār na thā
tab.a kah aur ġhazal, hai ye 'nazīrī' kā javāb
reḳhta ye jo paḌhā qābil-e-iz.hār na thā
Top Urdushayar.com