Jurat Qalandar Bakhsh

hai ye gul ki aur uski aab mein farq

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
hai ye gul kī aur us kī aab meñ farq
jaise paanī meñ aur gulāb meñ farq
lab-e-ḳhūbāñ kahāñ vo la.al kahāñ
hai bahut sharbat aur sharāb meñ farq
laakh gaalī kahī hai kam mat de
maiñ ginūñgā na ho hisāb meñ farq
zāhidā zohd tū paḌhā, maiñ ishq
hai mirī aur tirī kitāb meñ farq
ai sharābī gazak to kartā hai
kuchh to kar dil meñ aur kabāb meñ farq
aañkh jab se khulī na dekhā kuchh
zindagānī meñ aur hubāb meñ farq
kuchh nahīñ karte tum jo sho.ale meñ
aur is rū-e-pur-itāb meñ farq
hai zamīñ āsmān kā yaaro
zarre meñ aur āftāb meñ farq
kyūñki 'jur.at' ho shaiḳh tujh sā ki hai
piirī aur ālam-e-shabāb meñ farq
Top Urdushayar.com