Jurat Qalandar Bakhsh

dar tak ab chhoD diya ghar se nikal kar aana

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
dar tak ab chhoḌ diyā ghar se nikal kar aanā
yā vo rātoñ ko sadā bhes badal kar aanā
hamdamo ye koī ronā hai ki tūfān hai aah
dekhiyo chashm se dariyā kā ubal kar aanā
qasd jab jaane kā kartā huuñ maiñ us shoḳh ke paas
teġh-e-abrū ye kahe hai ki sambhal kar aanā
hāsil us kūche meñ jaane se hameñ hai aur kyā
ulTe ghar apne magar ḳhaak meñ ral kar aanā
vaañ se avval dil-e-be-tāb tū kab aatā hai
aur aanā bhī to sau jā pe machal kar aanā
hamdamo merī sifārish ko to jaate ho vale
kahīñ vaañ jā ke na kuchh aur ḳhalal kar aanā
Duube yuuñ bahr-e-mohabbat meñ ki ab jīte-jī
apnā dushvār hai uupar ko uchhal kar aanā
kū-e-qātil meñ dam-e-naz.a koī le jaao
jā ke us jā hameñ uqda hai ye hal kar aanā
us kā be-vaj.h nahīñ hai ye chaman se bāhar
gul mire sāmne hāthoñ meñ masal kar aanā
bazm-e-ḳhūbāñ meñ agarche koī parchā.e hazār
par tire paas hameñ vaañ se bhī Tal kar aanā
jī chalā tan se mire jald ze-rāh-e-ashfāq
ghar se do chaar qadam aise meñ chal kar aanā
'jur.at' us kī kahūñ kyā tujh se tarah-dārī maiñ
jaanā jab uTh ke tab ik ruup badal kar aanā
Top Urdushayar.com