Jurat Qalandar Bakhsh

dekhiyo uski zara aankh dikhane ka maza

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
dekhiyo us kī zarā aañkh dikhāne kā mazā
chitvanoñ meñ hai bharā saare zamāne kā mazā
kis maze se hai ayaañ duzdī-e-dil hai zālim
luuñ charā kyūñki tire aañkh churāne kā mazā
lazzat-e-vasl koī pūchhe to pī jaatā huuñ
kah ke hoñToñ hī meñ hoñToñ ke milāne kā mazā
kyā tire mai-kash-e-ulfat kā ye kaifiyyat hai
dard-e-dil kar ke bayāñ rone rulāne kā mazā
dast-bar-dil ho uThātā huuñ ajab lazzat-e-dard
yaad kar hijr meñ vo haath baḌhāne kā mazā
jo ḳhamoshī meñ hai lazzat nahīñ goyā.ī meñ
be-ḳhudī sā hai kahāñ aap meñ aane kā mazā
us ke laḌne ke bhī sadqe ki nazar aatā hai
ain ranjish meñ ajab aañkh laḌāne kā mazā
ḳhvāb-o-ḳhur se tire bīmār ko kyā kaam ki hai
lazzat-e-ḳhvāb na kuchh is ko na khāne kā mazā
yaad aatā hai to jaatā huuñ ḳhudā jaane kahāñ
vo lagāvaT kī nigāhoñ meñ bulāne kā mazā
kyā kahūñ vasl kī shab le ke balā.eñ us kī
kyā uThātā huuñ maiñ zaanū pe biThāne kā mazā
maiñ to phir aap meñ rahtā nahīñ dil se pūchho
aage phir bheñch ke chhātī se lagāne kā mazā
dar pe us parda-nashīñ ke ho to bā-saut-e-buland
sher us vaqt hai 'jur.at' se paḌhāne kā mazā
Top Urdushayar.com