Siraj Aurangabadi

teri nigah-e-talattuf ne faiz aam kiya

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
tirī nigāh-e-talattuf ne faiz aam kiyā
ḳhirad ke shahr ke sab vahshiyoñ kuuñ raam kiyā
agarche tīr-e-palak ne kiyā thā dil barmā
vale nigāh ke ḳhanjar ne ḳhuub kaam kiyā
tire salām ke dhaj dekh kar mire dil ne
shitāb aa ki mujhe ruḳhsatī salām kiyā
na jānūñ ishq kī bijlī kidhar siiñ aa.ī hai
ki mujh jigar ke khule kuuñ jalā tamām kiyā
usī ke haath meñ hai ḳhātam-e-sulaimānī
nagīn-e-dil pe jo naqsh us sanam kā naam kiyā
mujhe nigāh-e-taġhāful raqīb par altāf
adā-e-maslahat-āmez ne ġhulām kiyā
ai āftāb tirī zulmat-e-judā.ī meñ
'sirāj' āh-e-sahar kuuñ charāġh-e-shām kiyā
Top Urdushayar.com