Jurat Qalandar Bakhsh

parwa nahin usko aur mue hum

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809

parvā nahīñ us ko aur mue ham

kyuuñ aise pe mubtalā hue ham

go piise Daale juuñ hinā vo

par chhoḌeñ na paañv bin chhue ham

mizhgān-e-darāz us kar yaad

siine pe gaḌote haiñ sue ham

rone se makān-e-ḳhāna bole

bas laakh jagah se ab chue ham

ik bāzi-e-ishq se haiñ aarī

khele haiñ vagarna sab jue ham

ḳhūbāñ ko bin us ke dekheñ kyā ḳhaak

maaTī ke samajhte haiñ thue ham

dam āñkhoñ meñ aa rahā hai, lo jaan

jald aao vagarna ab mue ham

uTh jaane se us ke 'jur.at' ai vaa.e

ma.alūm nahīñ ki kyā hue ham

Top Urdushayar.com