Jurat Qalandar Bakhsh

ab KHak to kiya hai dil ko jala jala kar

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
ab ḳhaak to kiyā hai dil ko jalā jalā kar
karte ho itnī bāteñ kyuuñ tum banā banā kar
āshiq ke ghar kī tum ne buniyād ko biThāyā
ġhairoñ ko paas apne har dam biThā biThā kar
ye bhī koī sitam hai ye bhī koī karam hai
ġhairoñ pe lutf karnā ham ko dikhā dikhā kar
ai but na mujh ko hargiz kūche se ab uThānā
aayā huuñ yaañ talak maiñ zālim ḳhudā ḳhudā kar
detā huuñ maiñ idhar jī apnā taḌap taḌap kar
dekhe hai vo udhar ko āñkheñ churā churā kar
koī āshnā nahīñ hai aisā ki bā-vafā ho
kahte ho tum ye bāteñ ham ko sunā sunā kar
jaltā thā siina merā ai sham.a tis pe tū ne
duunī lagā.ī ātish aañsū bahā bahā kar
ik hī nigāh kar kar siine se le gayā vo
har-chand dil ko rakkhā ham ne chhupā chhupā kar
jur.at ne āḳhir apne jī ko bhī ab gañvāyā
in be-muravvatoñ se dil ko lagā lagā kar
Top Urdushayar.com