Jurat Qalandar Bakhsh

kuchh munh se dene kah wo bahane se uTh gaya

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
kuchh muñh se dene kah vo bahāne se uTh gayā
harf-e-saḳhāvat aah zamāne se uTh gayā
hai us ke dekhne kī havas kyā ġhazab ki aah
jo tund-ḳhū Tuk aañkh uThāne se uTh gayā
pūchhī jo us se maiñ dil-e-sad-chāk kī ḳhabar
uljhā ke apnī zulf vo shāne se uTh gayā
kahiyo sabā jo hove guzar yaar kī taraf
dil sab taraf se aap ke jaane se uTh gayā
paayā jo muztarib mujhe mahfil meñ to vahīñ
sharmā ke kuchh vo apne-begāne se uTh gayā
hotā thā apne jaane se jis ko qalaq so haa.e
ghabrā ke aaj kyā mire aane se uTh gayā
hamdam na mujh ko qissa-e-aish-o-tarab sunā
muddat se dil kuchh aise fasāne se uTh gayā
jab tak tū aa.e aa.e ki duniyā hī se koī
le jaan tere der lagāne se uTh gayā
'jur.at' ham is zamīn meñ kahte haiñ aur sher
har-chand jī suḳhan ke baḌhāne se uTh gayā
Top Urdushayar.com