Jurat Qalandar Bakhsh

nala-e-mauzun se misra aah ka chaspan hua

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
nāla-e-mauzūñ se misra.a aah kā chaspāñ huā
zor ye pur-dard apnā matl.a-e-dīvāñ huā
jis ne dekhā aa ke ye ā.īna-ḳhāna dahr kā
fil-haqīqat bas vo apnā aap hī hairāñ huā
sab pe zāhir ho ga.ī betābi-e-dil shakl-e-barq
vo bhabhūkā apnī nazroñ se jo Tuk pinhāñ huā
us ke jaane se ye dil meñ aa.e hai rah rah ke haa.e
sab jahāñ bastā hai ik apnā hī ghar vīrāñ huā
kaash dil se chashm tak aane na paatā tifl-e-ashk
rafta rafta ab to ye laḌkā koī tūfāñ huā
gar hue vā us ke lab to dekhiye kyā gul khile
ho ḳhafā jab be-tarah vo raunaq-e-bustāñ huā
aa.e jo marqad pe mere so mukaddar ho ga.e
ḳhaak ho kar bhī ġhubār-e-ḳhātir-e-yārāñ huā
roz-o-shab rahne lage is ghar meñ ye kāfir sanam
ka.aba-e-dil saaf apnā ab to kufristāñ huā
josh-e-vahshat dekhiyo koī ki har ik ḳhaar ke
dhajjiyāñ ho kar gale kā haar ye dāmāñ huā
ashk-e-rañgīñ ne jo apne kar diyā yaañ farsh-e-gul
rashk-e-sad-gulshan hameñ ye gosha-e-zindāñ huā
bañdh gayā terā tasavvur jis kī āñkhoñ ke huzūr
us ko bas aalam visāl-o-hijr kā yaksāñ huā
yak-ba-yak tū ne ye kaisā rañg badlā ai falak
terī gardish se kahīñ kyā saḳht jī halkāñ huā
kal talak jo ghar ghar apnā thā so us ke dar pe aaj
niilā piilā dekh kar kyā kyā hameñ darbāñ huā
garche har qālib meñ 'jur.at' sūrateñ Dhaltī rahīñ
par banā jo dard kā putlā vo hī insāñ huā
Top Urdushayar.com