kaun dekhegā bhalā is meñ hai rusvā.ī kyā
ḳhvāb meñ aane kī bhī tum ne qasam khaa.ī kyā
us kā ghar chhoḌ ke ham to na kisī dar pe ga.e
par samajhtā hai use vo but-e-harjā.ī kyā
sunte hī jis ke huī jaan havā tan se mire
is galī se ye ḳhabar bād-e-sabā laa.ī kyā
vaah maiñ aur na aane ko kahūñgā tauba
maiñ to hairāñ huuñ ye baat aap ne farmā.ī kyā
bah chalā chashm se yakbār jo ik dariyā sā
baiThe baiThe mujhe kyā jaane ye lahr aa.ī kyā
harf-e-matlab ko mire sun ke ba-sad-nāz kahā
ham samajhte nahīñ baktā hai to saudā.ī kyā
shaiḳh-jī ham to haiñ nādāñ par use aane do
ham bhī pūchheñge huī aap kī dānā.ī kyā
kaifiyat mahfil-e-ḳhūbāñ kī na us bin pūchho
us ko dekhūñ na to phir de mujhe dikhlā.ī kyā
aaj dam apnā Thahartā nahīñ kyā jāniye aah
maslahat logoñ ne vaañ baiTh ke Thahrā.ī kyā
bar meñ vo shoḳh thā aur sair-e-shab-e-māh thī raat
apne ghar kyā kaheñ thī anjuman-ārā.ī kyā
par gayā sub.h se vo ghar to yahī dhaḌkā hai
dekheñ aaj us kā evaz le shab-e-tanhā.ī kyā
dekhne kā jo karūñ us ke maiñ da.avā 'jur.at'
mujh meñ jur.at ye kahāñ aur mirī bīnā.ī kyā