Jurat Qalandar Bakhsh

shab-e-wasl dekhi jo KHwab mein to sahar ko sina figar tha

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
shab-e-vasl dekhī jo ḳhvāb meñ to sahar ko siina figār thā
yahī bas ḳhayāl thā dam-ba-dam ki abhī to paas vo yaar thā
jo na thā vo ġhairat-e-gulsitāñ to karūñ ab us kā maiñ kyā bayāñ
ki alam judā.ī kā har zamāñ mire ek dil pe hazār thā
shab-e-hijr ke kaheñ kyā alam nazar aa.e sub.h ko bahte yam
ki ba-josh-e-bārish-e-abr-e-ġham pe bañdhā sarishk kā taar thā
tap-e-ġham se thā jo jalā-balā mire siine meñ dil-e-mubtalā
so dhuāñ ho yuuñ vo havā huā ki na sho.ala thā na sharār thā
kabhī dast-e-zulf se the baham kabhī ruḳh ke lete the bose ham
shab-o-roz ab to hai dard-o-ġham kabhī vuuñ bhī lail-o-nahār thā
jise yaad apnī lagā.iye use saaf dil se bhulā.iye
Tuk idhar to aañkh milā.iye yahī ham se qaul-o-qarār thā
shab-e-hijr ab ye satā.e hai ki ḳhizān-e-marg dikhā.e hai
vo ruḳh ab kahāñ nazar aa.e hai ki jo rashk-e-sub.h-e-bahār thā
mujhe shab jo nashsha-e-ġham chaḌhā to phirā kiyā maiñ khaḌā khaḌā
rahā ġhash meñ sub.h ko jo paḌā usī kaif kā ye utaar thā
huī hairat ab jo do-chand yaañ karūñ aur vaj.h maiñ kyā bayāñ
ruḳh-e-yār sub.h ko mahr-sāñ magar aa.ine se do-chār thā
mujhe ek āshiq-e-ḳhasta kī kahīñ kal jo qabr nazar paḌī
na kisī se koī lagā.e jī ye khudā ba-lauh-e-mazār thā
dam-e-qatl koī jo bol uThā to ḳhajil ho kyā vo ḳhafā huā
use tum ne zab.h abas kiyā ye tumhārā shukr-guzār thā
koī naav bahr meñ thī ravāñ ka.ī us meñ baiThe the mah-vishāñ
kahīñ us giroh ke darmiyāñ dur-e-nāz bhī vo savār thā
tū ba-mauj-e-partav-e-māh sā kaho iztirāb meñ dil kā kyā
kabhī paar thā kabhī vaar thā kabhī vaar thā kabhī paar thā
ġhazal aur qāfiye ko badal maiñ sunā.ūñ yāroñ ko bar-mahal
huā muḳhtasar na ba-yak ġhazal ki baḌā fasāna-e-yār thā
Top Urdushayar.com