jigar ḳhuuñ ho ke bāhar dīda-e-giryān āvegā
yahī ronā rahā to āj-kal tūfān āvegā
ḳhabar aate hī pūchhe hai zālim baiTh jā yak-dam
haqīqat sab kahūñgā mujh meñ jab ausān āvegā
na hai ab ḳhāk-afshānī na hairānī na uryānī
junūñ gar aa gayā to le ke sab sāmān āvegā
paḌhūñgā pīchhe naama meñ ḳhudā ke vāste qāsid
ye kah avval ki yaañ tak vo kisī unvān āvegā
na jā ai jaan Tuk tū aur bhī ik raat is tan se
sunā hai kal ke din vo ghar mire mehmān āvegā
kisī kī qadar jīte-jī nahīñ ma.alūm hotī hai
kare hai qatl par pīchhe tujhe armān āvegā
galī meñ us but-e-ḳhūñ-ḳhvār kī 'jur.at' chalā to hai
va-lekin vaañ se ḳhuuñ meñ dekhnā afshān āvegā