ḳhuub būjhā huuñ maiñ us yaar kuuñ kui kyā jaane
is tarah ke but-e-ayyār kuuñ kui kyā jaane
le ga.iiñ haat señ dil us kī jhukī huī āñkheñ
hīla-e-mardum-e-bīmār kuuñ kui kyā jaane
maiñ na būjhā thā tirī zulf-e-girah-dār ke pech
sach ki kaifīyat-e-makkār kuuñ kui kyā jaane
sharh-e-be-tābī-e-dil niiñ hai qalam kī tāqat
tapish-e-shauq ke tūmār kuuñ kui kyā jaane
sharbat-e-ḳhūn-e-jigar kā maza āshiq paave
lazzat-e-ishq-e-jigar-ḳhār kuuñ kui kyā jaane
mashrab-e-ishq meñ haiñ shaiḳh-o-barhaman yaksāñ
rishta-e-sub.ha-o-zunnār kuuñ kui kyā jaane
namak-e-zaḳhm huā marham-e-gālīnosī
ḳhalish-e-sīna-e-afgār kuuñ kui kyā jaane
tauq-o-zanjīr nahīñ jis pe kise rahm aave
dām-e-ulfat ke giraftār kuuñ kui kyā jaane
jab talak talḳhī-e-shorāba-e-ġham chākhā niiñ
tab talak lazzat-e-dīdār kuuñ kui kyā jaane
qadr us nāfā-e-tātār kī mujh señ pūchho
yaar kī zulf kī mahkār kuuñ kui kyā jaane
maiñ kahā zaḳhmī-e-ġham huuñ to diyā us ne javāb
ai 'sirāj' aise chhupe vaar kuuñ kui kyā jaane