Jurat Qalandar Bakhsh

baiThe to pas hain par aankh uTha sakte nahin

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
baiThe to paas haiñ par aañkh uThā sakte nahīñ
jī lagā hai pa abhī haath lagā sakte nahīñ
duur se dekh vo lab kāTte haiñ apne hoñTh
hai abhī pās-e-adab hoñTh hilā sakte nahīñ
takte haiñ us qad o ruḳhsār ko hasrat se aur aah
bheñch kar ḳhuub sā chhātī se lagā sakte nahīñ
dil to in paañv pe loTe hai mirā vaqt-e-ḳhirām
shab ko duzdī se bhī par un ko dabā sakte nahīñ
chor se raat khaḌe rahte haiñ is dar se lage
par jo matlūb hai vo jins churā sakte nahīñ
rījhte un kī adāoñ pe haiñ kyā kyā lekin
maare andeshe ke gardan bhī hilā sakte nahīñ
dekh rahte haiñ vo ā.īna-e-zānū us kā
par kisī shakl se zaanū ko bhiḌā sakte nahīñ
qā.ede kyā hameñ ma.alūm nahīñ ulfat ke
be-kam-o-kāst magar un ko paḌhā sakte nahīñ
chipke tak rahte haiñ rañg us kā bhabūkā sā ham
aah par dil kī lagī apnī bujhā sakte nahīñ
kyā ġhazab hai ki vahī bole to bole az-ḳhud
ham unheñ kyuuñ ki bulāveñ ki bulā sakte nahīñ
garche ham-ḳhāna haiñ 'jur.at' pa hamāre aise
baḳht so.e ki kahīñ saath sulā sakte nahīñ
Top Urdushayar.com