itnā batlā mujhe harjā.ī huuñ maiñ yaar ki tū
maiñ har ik shaḳhs se rakhtā huuñ sarokār ki tū
kam-sabātī mirī har dam hai muḳhātib ba-habāb
dekheñ to pahle ham us bahr se hoñ paar ki tū
nā-tavānī mirī gulshan meñ ye hī bahse hai
dekheñ ai nik.hat-e-gul ham haiñ subuk-bār ki tū
dostī kar ke jo dushman huā tū 'jur.at' kā
bevafā vo hai phir ai shoḳh sitamgār ki tū