Jurat Qalandar Bakhsh

jo roen dard-e-dil se tilmila kar

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
jo ro.eñ dard-e-dil se tilmilā kar
to vo hañstā hai kyā kyā khilkhilā kar
yahī dekhā ki uThvā.e ga.e bas
jo dekhā Tuk udhar ko aañkh uThā kar
bhalā dekheñ ye kin āñkhoñ se kyuuñ jī
kisī ko dekhnā ham ko dikhā kar
khaḌā rahne na deñ vo ab ki jo shaḳhs
uThāte the maze ham ko biThā kar
gayā vo dil bhī pahlū se ki jis ko
kabhī rote the chhātī se lagā kar
chalī jaatī hai tū ai umr-e-rafta
ye ham ko kis musībat meñ phañsā kar
ḳhat aayā vaañ se aisā jis se apnā
navishta ḳhuub samjhe ham paḌhā kar
abhī ghar se nahīñ niklā vo tis par
chalā ghar-bār ik aalam luTā kar
diyā dhaḌkā use kuchh vasl meñ haa.e
bigāḌī baat gardūñ ne banā kar
mohabbat in dino jo ghaT ga.ī vaañ
to kuchh paate nahīñ us paas jā kar
magar ham shauq ke ġhalbe se har baar
ḳhajil hote haiñ haath apnā baḌhā kar
nahīñ muñh se nikaltī us ke kuchh baat
kisī ne kyā kahā 'jur.at' se aa kar
Top Urdushayar.com