Jurat Qalandar Bakhsh

sab chale tere aastan ko chhoD

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
sab chale tere āstāñ ko chhoḌ
bad-zabāñ ab to is zabāñ ko chhoḌ
mat uThā yaar tere kūche meñ
aan baiThe haiñ do jahāñ ko chhoḌ
vaqt-e-saḳhtī ke aah jaatī hai
jaan bhī jism-e-nā-tavāñ ko chhoḌ
sohbat-e-rāst kab ho kaj se barār
tiir āḳhir chalā kamāñ ko chhoḌ
dast-e-be-dād-e-bāġhbāñ se aah
ham chale āḳhir āshiyāñ ko chhoḌ
baaġh se vo phirā to murġh-e-chaman
lag chale saath gulsitāñ ko chhoḌ
nā-tavānī se misl-e-naqsh-e-qadam
rahe nā-chār kārvāñ ko chhoḌ
ham-nashīñ kah tamām qissa-e-ishq
āj-kal par na dāstāñ ko chhoḌ
ye mirā haal hai jo vo qātil
uTh gayā dam ke mehmāñ ko chhoḌ
jis tarah pher halq par ḳhanjar
de koī murġh-e-nīm-jāñ ko chhoḌ
kar javānī pe rahm 'jur.at' kī
bas ġham-e-ishq is javāñ ko chhoḌ
Top Urdushayar.com