Jurat Qalandar Bakhsh

amal kuchh aisa kiya adu ne ki ishq baham laga chhuDaya

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
amal kuchh aisā kiyā adū ne ki ishq bāham lagā chhuḌāyā
ilāhī chhuT jaa.eñ us kī nabzeñ milāp jis ne mirā chhuḌāyā
na baiThe ārām se vo gaahe uThā.e nit dukh pe dukh ḳhudāyā
ki jis ne nāhaq uThā ke bohtān apnā vaañ baiThnā chhuḌāyā
ilāhī mahrūm rakhiyo us ko mudām lazzāt-e-do-jahāñ se
asīr-e-dām-e-firāq kar mujh ko jis ne merā mazā chhuḌāyā
na dostī kā use mile phal na koī marbūt hove us se
ki jis ne kar dushmanī ḳhudāyā jo rabt aapas meñ thā chhuḌāyā
urūs-e-gītī samajh ke us ko zalīl hargiz na muñh lagāve
ilāhī aqd-e-mohabbat us se ye jis ne merā bañdhā chhuḌāyā
chhuTe garebān us kā gaahe na panjā-e-rañj se ḳhudāyā
ki dāman-e-vasl haath apne se jis ne us shoḳh kā chhuḌāyā
ilāhī zindān-e-ġham se paave na jīte-jī vo kabhī rihā.ī
ki jis ke bahkā.e se ab us ne dil apnā ham se phañsā chhuḌāyā
lahū jo mushtāq vasl kā thā chhuTā na qadmoñ se us ke hargiz
agarche dho dho ke us ne kitnā ba-shakl-e-rañg-e-hinā chhuḌāyā
kahe hai 'jur.at' yahī ba-takrār dard-e-hijrāñ se haath mal mal
ilāhī chhuT jaa.eñ us kī nabzeñ milāp jis ne mirā chhuḌāyā
Top Urdushayar.com