Jurat Qalandar Bakhsh

ab ishq tamasha mujhe dikhlae hai kuchh aur

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
ab ishq tamāshā mujhe dikhlā.e hai kuchh aur
kahtā huuñ kuchh aur muñh se nikal jaa.e hai kuchh aur
nāseh kī himāqat to zarā dekhiyo yaaro
samjhā huuñ maiñ kuchh aur mujhe samjhā.e hai kuchh aur
kyā dīda-e-ḳhūñ-bār se nisbat hai ki ye abr
barsā.e hai kuchh aur vo barsā.e kuchh aur
rone de, hañsā mujh ko na hamdam ki tujhe ab
kuchh aur hī bhātā hai mujhe bhaa.e hai kuchh aur
paiġhām-bar aayā hai ye ausān gañvā.e
pūchhūñ huuñ maiñ kuchh aur mujhe batlā.e hai kuchh aur
'jur.at' kī tarah mere havās ab nahīñ bar jā
kahtā huuñ kuchh aur muñh se nikal jaa.e hai kuchh aur
Top Urdushayar.com