Jurat Qalandar Bakhsh

ba-sad aarzu jo wo aaya to ye hijab-e-ishq se haal tha

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
ba-sad aarzū jo vo aayā to ye hijāb-e-ishq se haal thā
ki hazāroñ dil meñ thiiñ hasrateñ aur uThānā aañkh muhāl thā
rahā shab jo ham se judā koī to kahe ye vāqi.a kyā koī
shab-e-hijr thī ki balā koī jise dekhte hī visāl thā
ruḳh-e-yār tā na paḌā nazar rahe ham alam se ye nauhagar
ki hamāre rañj-o-malāl par to malāl ko bhī malāl thā
kare kaun us se barābarī mah-o-zohra sab ko thī ham-sarī
dam-e-sub.h dekh sitamgarī ruḳh-e-mahr zarra-misāl thā
shab-e-vasl dekh ke ḳhvāb meñ maiñ paḌā thā saḳht azaab meñ
the hazār soch javāb meñ ajab us kā mujh se savāl thā
mire josh-e-ashk se bahra-var hue kul jahān ke bahr-o-bar
na barastī aaj ye chashm-e-tar to ḳhudā-na-ḳhvāsta kaal thā
jo numūd karte hī aap se lage baiThne vo shitāb se
to ye pūchhe koī hubāb se ki phulā.e apne ye gaal thā
havā maiñ bhī dāḳhil-e-kushtgāñ to abas tū hove hai sar-garāñ
ki mire gale kī taraf miyāñ tire āb-e-teġh kā Dhaal thā
diyā khā ke aap ne paan jo dil-e-mubtalā huā surḳh-rū
use samjhā peT kā bojh vo jo tumhāre muñh kā ugaal thā
jo marīz thā paḌā jāñ-ba-lab ḳhabar aur kuchh nahīñ us kī ab
magar itnā kahte haiñ log sab ki baḌā ye nek-ḳhisāl thā
jo chaman se duur qafas huā to maiñ aur asīr-e-havas huā
ye jo zulm ab ke baras huā yahī qahr agle bhī saal thā
nahīñ chāhtā hai ab āsmāñ ki ham aur vo huuñ ba-yak-makāñ
kahīñ aa gayā jo vo shab ko yaañ ki bulānā jis kā muhāl thā
to ye rañg chambar-e-charḳh kā nazar aa.e thā mujhe barmalā
kabhī thā siyah kabhī zard thā kabhī sabz thā kabhī laal thā
na kisī ne qadr kī 'jur.at' ab kahe sher garche ajab ajab
jo na hoñge ham to kaheñge sab ki baḌā ye ahl-e-kamāl thā
Top Urdushayar.com