Jurat Qalandar Bakhsh

main kaha ek ada kar to laga kahne un-hun

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
maiñ kahā ek adā kar to lagā kahne ''ūñ-hūñ''
dekh Tuk aañkh churā kar to lagā kahne ''ūñ-hūñ''
sab se hañstā thā vo kal, ro ke jo maiñ bol uThā
ham se bhī Tuk tū hañsā kar to lagā kahne ''ūñ-hūñ''
maiñ kahā dil ko maiñ le jā.ūñ to bolā vo ki ''hūñ''
le chalā jab maiñ uThā kar to lagā kahne ''ūñ-hūñ''
maiñ kahā sabr o dil o diiñ ne vafā ham se na kī
be-vafā tū to vafā kar to lagā kahne ''ūñ-hūñ''
maiñ kahā jām-e-mai piite ho to bolā vo ki ''hūñ''
jab kahā lā.ūñ chhupā kar to lagā kahne ''ūñ-hūñ''
maiñ kahā sohbat-e-aġhyār barī hai pyāre
un se itnā na milā kar to lagā kahne ''ūñ-hūñ''
maiñ kahā ishq ko iz.hār karūñ bolā ''hūñ''
jab kahā kahtā huuñ jā kar to lagā kahne ''ūñ-hūñ''
maiñ kahā samjhe hai āzār mirā bolā ''hūñ''
jab kahā kuchh to davā kar to lagā kahne ''ūñ-hūñ''
maiñ kahā ab tirī duurī se hai 'jur.at' be-tāb
kuchh to kah paas balā kar to lagā kahne ''ūñ-hūñ''
Top Urdushayar.com