hai dil meñ ḳhayāl-e-gul-e-ruḳhsār kisī kā
dāġhoñ siiñ mohabbat ke hai gulzār kisī kā
jaatā hai mirā jaan nipaT pyaas lagī hai
mañgtā huuñ zarā sharbat-e-dīdār kisī kā
sab par hai karam mujh pe sitam kyā hai do-rañgī
dildār kisī kā hai dil-āzār kisī kā
zanjīr bhalī qaid bhalī maut bhī jyūñ-tyūñ
pan haq na kare kis kuuñ giraftār kisī kā
maiñ huuñ to divāna pa kisī zulf kā na.iiñ huuñ
vallāh ki rakhtā nahīñ yak taar kisī kā
yak dam to ham-āġhosh karo ai gul-e-ḳhūbī
ho jā.ūñgā ab na.iiñ to gale haar kisī kā
jhuktā hai zarā baad ke chalne meñ zamīñ par
nargis hai magar baaġh hai bīmār kisī kā
laatī hai ḳhabar yaar kī mauj-e-dam-e-shamshīr
kaarī hai magar dil meñ mire vaar kisī kā
har raat 'sirāj' ātish-e-ġham meñ na jale kyuuñ
parvāna-e-jāñ-soz hai balhār kisī kā