Jurat Qalandar Bakhsh

husn ai jaan nahin rahne ka

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
husn ai jaan nahīñ rahne kā
phir ye ehsān nahīñ rahne kā
nazr kī jeb to ai josh-e-junūñ
ab ye dāmān nahīñ rahne kā
parda mat muñh se uThānā yakbār
mujh meñ ausān nahīñ rahne kā
tū chalā aur ye jī is tan meñ
kisī unvān nahīñ rahne kā
gul ko kyā rotī hai tū ai bulbul
ye gulistān nahīñ rahne kā
dam kā mehmāñ huuñ maiñ ab bhī tū
aa ke mehmān nahīñ rahne kā
nabḌī mai aur gulistān meñ gul
tere qurbān nahīñ rahne kā
ab bhī aanā hai to aa varna myaañ
ye bhī sāmān nahīñ rahne kā
dil kī darḳhvāst jo kī tū ne to yaañ
ab ye ik aan nahīñ rahne kā
aise meñ apnī amānat le jā
phir tujhe dhyān nahīñ rahne kā
hijr ke ġham se na ghabrā 'jur.at'
itnā hairān nahīñ rahne kā
Top Urdushayar.com