suno baat us kī ulfat kā baḌhānā is ko kahte haiñ
kahā shab ḳhvāb meñ aa kar ki aanā is ko kahte haiñ
qadam vādī-e-vahshat-nāk-e-ulfat meñ rakhā ham ne
hazār āfāt kā sar par uThānā is ko kahte haiñ
hamārī baat kaaTī ġhair kī tā.īd kī us ne
ghaTānā is ko kahte haiñ baḌhānā is ko kahte haiñ
jo rūThe ham to bole be-dilī se tum ki aa mil jā
idhar ko dekhiyo kyuuñ jī manānā is ko kahte haiñ
dil-e-muztar ke baa.is roz-o-shab rahte haiñ bas larzāñ
dar-o-dīvār-e-ḳhāna tilmilānā is ko kahte haiñ
vo dushman apnā samjhe hai ba-dil maiñ dost huuñ jis kā
kahūñ kyā aur par ulTā zamāna is ko kahte haiñ
ye bole dekh sab tasvīr us kī aur mirī yakjā
parī-rū is ko kahte haiñ divāna is ko kahte haiñ
kiyā hai shefta aalam ko apnā us parī-rū ne
divāna ik jahāñ ko kar dikhānā is ko kahte haiñ
ye chashm-e-gauhar-afshāñ hazrat-e-dil jalva-farmā haiñ
nikal ghar se dar-e-daulat pe aanā is ko kahte haiñ
jo gulshan meñ kisī ne dekh khilnā ġhuncha-e-gul kā
kahā bas aa ke yaañ lazzat uThānā is ko kahte haiñ
tabassum kar ke yuuñ mujh se kahā us shoḳh ne o-be
idhar ko dekh adā se muskurānā is ko kahte haiñ
ġhazal aur is zamīñ meñ paḌhiye vo 'jur.at' ki sun jis ko
kaheñ āshiq kalām-e-āshiqāna is ko kahte haiñ