Jurat Qalandar Bakhsh

bulbul sune na kyunki qafas mein chaman ki baat

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
bulbul sune na kyūñki qafas meñ chaman kī baat
āvāra-e-vatan ko lage ḳhush vatan kī baat
mat pūchh haal apne tū bīmār-e-ishq kā
hone lagī ab us ke to gor-o-kafan kī baat
hai mausam-e-bahār meñ bā-sad-zabāñ ḳhamosh
ġhunche ne kyā sunī thī kisī ke dahan kī baat
aish-o-tarab kā zikr karūñ kyā maiñ dosto
mujh ġham-zada se pūchhiye rañj-o-mehan kī baat
nāseh maiñ kyā kahūñ ki huā kis tarah se chaak
dast-e-junūñ se pūchho mire pairahan kī baat
thā āqil-e-zamāna pa dīvāna ho gayā
jis shaḳhs ne sunī mire dīvāna-pan kī baat
sar diije rāh-e-ishq meñ par muñh na moḌiye
patthar kī sī lakīr hai ye kohkan kī baat
bazm-e-chaman bhī us se ḳhajil hai bahār meñ
kyā pūchhne hai yaar tirī anjuman kī baat
yaaro maiñ kyā kahūñ ki jalā kis tarah patañg
pūchho zabān-e-sham.a se us kī lagan kī baat
shāyad usī kā zikr ho har rahguzar meñ maiñ
suntā huuñ gosh-e-dil se har ik mard-o-zan kī baat
vo shai nahiñ hai ham meñ ki jis se mile vo yaar
aatī hai yuuñ to ham ko bhī har ek fan kī baat
'jur.at' ḳhizāñ ke aate chaman meñ rahā na kuchh
ik rah ga.ī zabāñ pe gul-o-yāsman kī baat
Top Urdushayar.com