Jurat Qalandar Bakhsh

ye qisson mein jo dukh uThane bandhe hain

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
ye qissoñ meñ jo dukh uThāne bañdhe haiñ
so ulfat hī ke sab fasāne bañdhe haiñ
qafas meñ suno lo asīrān-e-kohna
ba-har-shāḳh-e-nau āshiyāne bañdhe haiñ
ḳhudā jaane is ghar meñ kyā hai ki jis ke
ka.ī dar ke aage divāne bañdhe haiñ
vo aañsū haiñ apne ki sab kī girah meñ
ka.ī motiyoñ ke ḳhazāne bañdhe haiñ
havā ye dayār-e-mohabbat kī bigḌī
ki sab rahne vāloñ ke shāne bañdhe haiñ
mulāqāt kyā ho rahe Thaur bas ham
ki jaane ke vaañ to Thikāne bañdhe haiñ
lageñ kyuuñ na tīr-e-nigah dil jigar par
ki us chashm ke ye nishāne bañdhe haiñ
falak tere hāthoñ baḌe the jo daanā
so ab un ke palloñ meñ daane bañdhe haiñ
ġhazab sāda-rūoñ kī hai sādgī bhī
ki pheñTe ajab sūfiyāne bañdhe haiñ
huī ghar meñ shādī tumhāre to aisī
ki jis ke jahāñ meñ fasāne bañdhe haiñ
na bulvāne kā ham ko shikva hai dekho
bañdhan-vār ab tak purāne bañdhe haiñ
baḳhīl ab ye mun.im nahīñ kyūñki 'jur.at'
kase jin ke ḳhvānoñ meñ khāne bañdhe haiñ
Top Urdushayar.com