raat kyā kyā mujhe malāl na thā
ḳhvāb kā to kahīñ ḳhayāl na thā
aaj kyā jaane kyā huā ham ko
kal bhī aisā to jī niDhāl na thā
bole sab dekh merī jāñ-kāvī
ye to farhād kā bhī haal na thā
jab talak ham na chāhte the tujhe
tab tak aisā tirā jamāl na thā
ab to dil lag gayā hai kyuuñ ki na aa.eñ
pahle kahte to kuchh muhāl na thā
Tal gayā dekh yuuñ tirā abrū
ki goyā charḳh par hilāl na thā
Tuk na Thahrā mire vo paas aa kar
kuchh tamāshā thā ye visāl na thā
dekh shab apne rashk-e-lailā ko
dañg thā maiñ to mujh meñ haal na thā
sun ke bolā tamām qissa-e-qais
ishq kā us ko bhī kamāl na thā
itnā royā lahū tū kab 'jur.at'
abhī dāman tirā to laal na thā