Jurat Qalandar Bakhsh

gar kahun ghair se phir rabt hua tujhko kya

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
gar kahūñ ġhair se phir rabt huā tujh ko kyā
kyā burā maan ke kahtā hai bhalā tujh ko kyā
sar uThānā tujhe bālīñ se jo dushvār hai ab
kyuuñ dilā baiThe-biThā.e ye huā tujh ko kyā
pūchhūñ ranjish kā sabab us se to jhuñjhlā ke kahe
''gar ḳhafā huuñ to maiñ huuñ aap ko, jā tujh ko kyā''
ham asīrān-e-qafas kyā kaheñ ḳhāmosh haiñ kyuuñ
raah le apnī chal ai bād-e-sabā tujh ko kyā
gar kiyā us se judā mujh ko to kah de ye falak
mere aur us ke na milne se milā tujh ko kyā
haath uThātā nahīñ gar ishq se maiñ ai nāseh
tū nasīhat se mirī haath uThā tujh ko kyā
gar kaho nām-e-ḳhudā lagte ho tum kyā hī bhale
to ye kahtā hai ''bhalā huuñ to bhalā, tujh ko kyā''
kyuuñ dilā bistar-e-ġham par hai tū ḳhāmosh paḌā
kuchh to kah mujh se kisī ne ye kahā tujh ko kyā
ab vo mauqūf huā nāma-o-paiġhām bhī aah
harf ġhairoñ kā asar kar hī gayā tujh ko kyā
mere milne se kiyā man.a kisī ne jo tujhe
tū ne is baat ko sun kar na kahā tujh ko kyā
paik-e-ashk āñkhoñ se chal nikle jo ḳhat paḌhte hī
'jur.at' ab kuchh tū batā us ne likhā tujh ko kyā
Top Urdushayar.com