Jurat Qalandar Bakhsh

sab kahte hain dekh usko sar-e-rah zamin par

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
sab kahte haiñ dekh us ko sar-e-rāh zamīñ par
''kis raah se aayā ye utar maah zamīñ par''
bīmār kī tere to kahānī hai baḌī par
qissa hai ab ik dam meñ hī kotāh zamīñ par
tū chhat pe chaḌhā us ke hai aisā ki bas āḳhir
chhoḌegī utarvā ke tirī chaah zamīñ par
ye vo dil-e-muztar hai ki juuñ barq-e-tapīda
gaahe ba-falak aa.e nazar gaah zamīñ par
kuchh soch ke bas kāñpne lagtā huuñ maiñ 'jur.at'
paḌtā hai qadam zor se jab aah zamīñ par
Top Urdushayar.com