Siraj Aurangabadi

ai dil-e-be-adab us yar ki saugand na kha

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763

ai dil-e-be-adab us yaar saugand na khā

tuuñ har ik baat meñ dildār saugand na khā

rūh-e-chandr-badan ai bul-havas āzurda na kar

ḳhuub nahīñ turbat-e-mahyār saugand na khā

ye adā sarv meñ zinhār nahīñ ai qumrī

yaar ke qāmat o raftār saugand na khā

ḳhauf kar ḳhat siyāhī satī ai va.ada-ḳhilāf

har ghaḌī mus.haf-e-ruḳhsār saugand na khā

apnī āñkhoñ qasam khā ki liyā nahīñ maiñ ne

jaan le kar dil-e-bīmār saugand na khā

pech de de ke mire dil kuuñ pareshāñ to kyā

nāhaq us zulf-e-girah-dār saugand na khā

taab us ruḳh tajallī nahīñ tujh kuuñ 'sirāj'

tuuñ abas shola-e-dīdār saugand na khā

Top Urdushayar.com