Jurat Qalandar Bakhsh

go hun wahshi pa tere dar se na Tal jaunga

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
go huuñ vahshī pa tire dar se na Tal jā.ūñgā
haañ magar dasht-e-adam hī ko nikal jā.ūñgā
tā.ir-e-nāma-bar apnā yahī kahtā hai ki aah
raqam-e-shauq kī garmī se maiñ jal jā.ūñgā
jald ai kaash jatāve use joban us kā
phir ho kis kaam ke tum jab ki maiñ Dhal jā.ūñgā
aaj go us ne ba-rusvā.ī nikālā mujh ko
gar yahī dil hai to phir aap se kal jā.ūñgā
mashvara kar ke ye dil kūcha-e-jānāñ ko chalā
azm to laane kā kiijo maiñ machal jā.ūñgā
gar yahī ātish-e-ulfat hai to mānind-e-sipand
aah meñ mujmir hastī se uchhal jā.ūñgā
nau-giraftār-e-mohabbat huuñ mirī vaz.a se tum
itnā ghabrāo na pyāre maiñ sambhal jā.ūñgā
vaa.e qismat kahe jab sabr sā mūnis ye baat
tujh pe dekhūñgā burā vaqt to Tal jā.ūñgā
jald ḳhū apnī badal varna koī kar ke tilism
aa ke dil apnā tire dil se badal jā.ūñgā
jī kahīñ tū na phañsā varna tire daam se maiñ
āb-e-ġhirbāl kī mānind nikal jā.ūñgā
juuñ hinā apne vo qadmoñ se na lagne deñge
is tamannā meñ agar ḳhaak meñ ral jā.ūñgā
jaate jaate kaf-e-afsos isī hasrat meñ
ashk bhar lā ke dam-e-naz.a bhī mal jā.ūñgā
jin ke nazdīk hai andāz-e-ġhazal 'mīr' pe ḳhatm
un ko 'jur.at' maiñ sunāne ye ġhazal jā.ūñgā
Top Urdushayar.com