kis jā na be-qarārī se maiñ ḳhasta-tan gayā
par dekhne kā us ke kahīñ Dhab na ban gayā
kis kis tarah kī kī ḳhafagī dil ne mujh se aah
rūThā kisī kā yaar kisī se jo man gayā
yaaro jahāñ meñ ab kahīñ dekhī vafā kī chaal
jaane do ye na zikr karo vo chalan gayā
sausan zabāñ nikāle jo niklī to zer-e-ḳhāk
kyā jāniye ki kaun ye tishna-dahan gayā
ai ishq sach to ye hai ki shīrīñ ne kuchh na kī
hasrat kā koh dil pe liye kohkan gayā
bas nāsehā ye tīr-e-malāmat kahāñ talak
bātoñ se terī aah kalejā to chhan gayā
kal us sanam ke kūche se niklā jo shaiḳh-e-vaqt
kahte the sab idhar se ajab barhaman gayā
paidā ye hijr-e-yār meñ vahshat huī ki aah
is dil kā vasl meñ bhī na dīvāna-pan gayā
hairāñ hai tujh ko dekh ke 'jur.at' mirī to aql
do chaar din meñ kyā ye tirā haal ban gayā