kab baiThte haiñ chain se iizā uThā.e bin
lagtā nahīñ hai jī kahīñ laggā lagā.e bin
jab tak na be-qarār hoñ paḌtā nahīñ qarār
aatā nahīñ hai chain hameñ tilmilā.e bin
be-āh-o-nāla muñh se nikaltī nahīñ hai baat
hairān baiThe rahte haiñ aañsū bahā.e bin
zindāñ lage hai ghar jo kisī kā na hoñ asiir
aate nahīñ ba-ḳhud kahīñ ham aa.e jaa.e bin
dīvāne gar na hoñ to parī-rū na dekheñ sair
bigḌe hai baat hāl-e-pareshāñ banā.e bin
jumbish na dast-o-pā meñ ho be-shorish-e-junūñ
afsurda-tab.a rahte haiñ dhūmeñ machā.e bin
gar ho na dard-e-ishq to be-dard ham kahā.eñ
kuchh lutf-e-guftugū hī nahīñ hā.e-vā.e bin
kyā josh-e-tab.a ho na mai-e-ishq gar piyeñ
kuchh kaifiyat nahīñ hai ye pyāla pilā.e bin
gar bar meñ ho na koī to pahlū-tahī rahe
kyā baiThnā hai zaanū se zaanū bhiḌā.e bin
koī na de dikhā.ī to kyā ḳhaak dekhiye
rahte asīr-e-ġham haiñ kisī ke bulā.e bin
afkār saikḌoñ hoñ agar ho na fikr-e-ishq
vārastagī kahāñ hai kaheñ jī phañsā.e bin
qātil se gar na miliye to 'jur.at' hamārī kyā
juuñ gul shagufta ho na koī zaḳhm khaa.e bin