ham kab az-ḳhud tire ghar yaar chale aate haiñ
rah nahīñ sakte to nā-chār chale aate haiñ
le ḳhabar us kī shitābī se ki āshiq ko tire
ġhash pe ġhash shoḳh sitamgār chale aate haiñ
maiñ to hairāñ huuñ matab hai ki dar-e-yār hai ye
yaañ to bīmār pe bīmār chale aate haiñ
ghar meñ ghabrāte haiñ be-yār to ham vahshī se
sar-barahna sar-e-bāzār chale aate haiñ
khaḌe rah sakte nahīñ dar pe to hairān se vaañ
baiTh kar ham pas-e-dīvār chale aate haiñ
kis ke nāloñ kī ye āñdhī hai ki shakl-e-par-e-kāh
aaj uḌte hue kohsār chale aate haiñ