dūd-e-ātish kī tarah yaañ se na Tal jā.ūñgā
sham.a-sāñ mahfil-e-jānāñ hī meñ jal jā.ūñgā
duur se bhī use dekhūñ to ye chitvan meñ kahe
aa ke diide abhī talvoñ tale mal jā.ūñgā
dil-e-muztar ye kahe hai vahīñ le chal varna
toḌ chhātī ke kivāḌoñ ko nikal jā.ūñgā
maiñ huuñ ḳhurshīd-e-sar-e-koh yaqīñ hai ki vo maah
aa.egā baam pe tab jab ki maiñ Dhal jā.ūñgā
aaj bhī koī na le jā.egā vaañ mujh ko to bas
kal nahīñ hai mujhe maiñ jī hī se kal jā.ūñgā
vaañ se uThtā huuñ to kahtā hai ye pā-e-raftār
jab zamīñ par tū rakhegā maiñ phisal jā.ūñgā
ba-ḳhudā husn-e-butāñ kā yahī sab se hai kalām
vo chhalāvā huuñ ki tum sab ko maiñ chhal jā.ūñgā
aa ke barsoñ meñ vo mujh paas ye shab kahne lage
yaañ Thaharne meñ bahut se haiñ ḳhalal jā.ūñgā
teġha qātil kā kahe hai ki duvālī bandū
muuTh kī tarah se tum sab pe maiñ chal jā.ūñgā
go mizāj is kā ye badlā ki kahe hai mujhe yuuñ
dekho tum aa.e to maiñ ghar se nikal jā.ūñgā
par rahā jā.egā kab hai mirī hālat taġh.īr
yuuñ na jā.ūñgā to maiñ bhes badal jā.ūñgā
'jur.at' ash.ār-e-junūñ-ḳhez kah ab aur ki maiñ
le ke ye turbat-e-saudā pe ġhazal jā.ūñgā