Jurat Qalandar Bakhsh

jazba-e-ishq ajab sair dikhata hai hamein

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
jazba-e-ishq ajab sair dikhātā hai hameñ
apnī jānib koī khīñche liye jaatā hai hameñ
bazm meñ takte haiñ muñh us kā khaḌe aur vo shoḳh
na uThātā hai kisī ko na biThātā hai hameñ
kyā sitam hai ki tarīq apnā rah-e-ishq meñ aah
koī jis ko nahīñ bhātā vo hī bhātā hai hameñ
is taraqqī meñ tanazzul meñ hai ki juuñ qāmat-e-tifl
āsmāñ umr ghTāne ko baḌhātā hai hameñ
band kar baiThe haiñ ab aañkh jo ham to allāh
nazar aatā jo nahīñ so nazar aatā hai hameñ
ThanDe hone kā bhī tā samjheñ mazā itne liye
charḳh mānind-e-charāġh aah jalātā hai hameñ
ai ḳhushā ye ki vo hañsne ke liye rotā hai
apnī ḳhursandī-e-ḳhātir ko kuḌhātā hai hameñ
mil ke ham us se jo Tuk soveñ to dukh dene ko
baḳht-e-bad ḳhvāb judā.ī kā dikhātā hai hameñ
ham haiñ vo murġh-e-giraftār ki apne par se
vārnā jis ko ki hove vo chhuḌātā hai hameñ
lā ke us shoḳh-e-sitamgar ke do-rañgī ke payām
na hañsātā hai koī ab na rulātā hai hameñ
san se jā baiThte haiñ us ke tasavvur meñ ham aah
bazm-e-ḳhūbāñ meñ koī paas bulātā hai hameñ
mahv-e-nazzāra hoñ kyā ham ki ba-qaul-e-'jur.at'
apnī jānib koī khīñche liye jaatā hai hameñ
Top Urdushayar.com