Siraj Aurangabadi

mere jigar ke dard ka chaara kab aaega

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
mere jigar ke dard kā chārā kab aa.egā
yak-bār ho gayā hai dobārā kab aa.egā
putliyāñ mire nayan ke jharoke meñ baiTh kar
bekal ho jhāñktī hai piyārā kab aa.egā
us mushtarī-jabīñ kā mujhe ġham huā zuhal
taale mire kā nek sitārā kab aa.egā
murjhā rahī hai dil kī kalī ġham kī dhuup meñ
gulzār-e-dilbarī kā hazārā kab aa.egā
hai shaad apne phuul siiñ har bulbul ai 'sirāj'
vo yār-e-nau-bahār hamārā kab aa.egā
Top Urdushayar.com