Jurat Qalandar Bakhsh

ulfat se ho KHak hum ko lahna

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
ulfat se ho ḳhaak ham ko lahnā
qismat meñ to hai azaab sahnā
dhyān us ke meñ ham ko sar-ba-zānū
āñkheñ kiye band baiThe rahnā
muñh chāhiye chāhne ko yuuñ jī
kyā tum ne kahā ye phir to kahnā
allāh-re sādgī kā aalam
darkār nahīñ kuchh us ko gahna
kar band na ashk-e-chashm-e-tar ko
behtar nāsūr kā hai bahnā
qaa.em rahe kyā imārat-e-dil
buniyād meñ to paḌā hai Dhahnā
shab ghar jo rahā mire vo mehmāñ
thā sub.h ye kis adā se kahnā
tāqat na rahī badan meñ he he
qurbān kiyā thā yaañ kā rahnā
dil ne bhī diyā na saath 'jur.at'
kyā dosh kisī ko diije lahnā
Top Urdushayar.com