Jurat Qalandar Bakhsh

tegh-e-barran nikalo sahab

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
teġh-e-barrān nikālo sāhab
dil ke armān nikālo sāhab
ghar se rakhte ho qadam kyuuñ bāhar
na mirī jaan nikālo sāhab
dekh rahne se ḳhafā ho to mirī
chashm-e-hairān nikālo sāhab
hai ye nāsūr-e-jigar kī battī
tum na paikān nikālo sāhab
rahne do ghar meñ na mujh par nāhaq
rakh ke bohtān nikālo sāhab
baar aġhyār ko ḳhalvat meñ na do
haiñ bad insān, nikālo sāhab
hai mirī tarah tumhārā kahīñ dhyān
dil se ye dhyān nikālo sāhab
gaalī nāhaq na kisī ke haq meñ
muñh se har aan nikālo sāhab
haa.e ye ranjish-e-bejā dil se
kisī unvān nikālo sāhab
sar-e-bāzār na baiThā karo tum
kuchh to ab shaan nikālo sāhab
garm-bāzārī kī ḳhātir sar-e-rāh
tum na dūkān nikālo sāhab
hasrat-e-vasl hai 'jur.at' ko kamāl
lo ye armān nikālo sāhab
Top Urdushayar.com