Jurat Qalandar Bakhsh

josh-e-girya ye dam-e-ruKHsat-e-yar aae nazar

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
josh-e-girya ye dam-e-ruḳhsat-e-yār aa.e nazar
abr-e-joshāñ kā bañdhā jaise ki taar aa.e nazar
rañg-e-gulzār jahāñ garche hazār aa.e nazar
chain par dil ko kahāñ taaki na yaar aa.e nazar
apnā jab kū-e-tasavvur meñ guzār aa.e nazar
jis taraf dekheñ udhar sūrat-e-yār aa.e nazar
huuñ maiñ kis ġhairat-e-gulzār kā zaḳhmī ki mire
har bun-e-mū pe gul-e-zaḳhm hazār aa.e nazar
bin paḌhe phaaḌ ke ḳhat rakh de jo vo rauzan meñ
juuñ qalam siina mirā kyuuñ na figār aa.e nazar
ham-suḳhan jis se na ho sakiye phir us shoḳh se aah!
aur kuchh baat kā kab dār-o-madār aa.e nazar
ho jahāñ jumbish-e-lab kā bhī na yaarā ai vaa.e
muñh kahāñ ye ki jo vaañ bos-o-kanār aa.e nazar
ham dil-afroḳhta vaañ juuñ sharar-e-sañg haiñ aah
na jahāñ paik-e-sabā kā bhī guzār aa.e nazar
sar-bulandī jinheñ de charḳh na de chain unheñ
ki ba-gardish mah-o-ḳhur lail-o-nahār aa.e nazar
jab ki har roz kaTīñ va.ade pe ghaḌiyāñ ginte
kyuuñ na har din hameñ phir roz-e-shumār aa.e nazar
us ke mahram pe bhabūkā sī jo dekhūñ chiḌiyā
kyuuñ na juuñ tā.ir-e-sīmāb qarār aa.e nazar
ho ba-sad-rañg shagufta lab-e-dariyā pe vo baaġh
har ravish jis meñ ki bas lutf-e-hazār aa.e nazar
chaar sū naġhma-sarā.ī meñ hoñ murġhān-e-chaman
shāḳh-dar-shāḳh ajā.ib gul-o-bār aa.e nazar
mauj-e-dariyā idhar aTkhelī kī chāleñ dikhlā.e
aur udhar raqs-kunāñ bād-e-bahār aa.e nazar
hove atrāf se ghanghor ghaTā ghir aa.ī
kauñd bijlī kī ho aur paḌtī phuvār aa.e nazar
ik taraf mor muñDeroñ pe kareñ kyā kyā shor
ik taraf abr meñ bagloñ kī qatār aa.e nazar
gardish-e-jām ho juuñ gardish-e-chashmān-e-butāñ
haath meñ mutrib-e-sar-ḳhush ke sitār aa.e nazar
lab-ba-lab sīna-ba-sīna jise chāheñ vo ho
gulshan-e-zīst kī tab ham ko bahār aa.e nazar
āshiqāna ġhazal ab paḌh koī 'jur.at' tah-dār
ma.anī-e-tāza bhī tā yāroñ ko yaar aa.e nazar
Top Urdushayar.com