Jurat Qalandar Bakhsh

baghair uske ye hairan hain baghal dekh apni Khaali hum

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
baġhair us ke ye hairāñ haiñ baġhal dekh apnī ḳhālī ham
ki karvaT le nahīñ sakte haiñ juuñ tasvīr-e-qālī ham
koī ātish kā parkāla jo vaqt-e-ḳhvāb yaad aave
to samjheñ kyuuñ na añgāre ye gul-hā-e-nihālī ham
irāda gar kiyā dushnām dene kā ab ai pyāre
to lab se lab milā kar bas tirī khā leñge gaalī ham
na ho pahlū meñ apne jab vo sabza rañg hī zālim
to phir kis rañg kāTeñ ye balā se raat kaalī ham
laḌī hai aañkh us se jo ye chitvan meñ jatātā hai
kisī kī kyā hameñ parvā haiñ apne lā-ubālī ham
na ho vo sīm-tan paas apne jab sair-e-shab-e-mah meñ
kareñ to dekh kyā bas ek pītal kī sī thālī ham
jo ho dūr-az-ḳhayāl-e-'mānī'-o-'bahzād' har sūrat
baġhair-az-mū-qalam khīñchīñ vo tasvīr-e-ḳhyālī ham
kareñ vasf-e-jamāl-e-yār meñ ik sher gar mauzūñ
to samjheñ intiḳhāb-e-jumla ash.ā-e-jamālī ham
ba-kunj-e-be-kasī paḌhte haiñ jo ham marsiya dil kā
to haiñ aap hī javābī aur aap hī haiñ savālī ham
vo Duubā itr meñ ho mast-e-mai masrūf-e-sair-e-gul
aur us ko is ravish dekheñ darūn-e-bāġh-e-ḳhālī ham
gul-e-ummīd to shāyad ki apnā bhī shagufta ho
ta.ajjub kuchh nahīñ gar paa.eñ phal paate sahālī ham
zi-bas hālāt-e-ishq ab ham pe taarī hai sadā 'jur.at'
ba-tarz-e-āshiqāna kahte haiñ ash.ār-e-'hālī' ham
Top Urdushayar.com