Jurat Qalandar Bakhsh

wan se ghar aa ke kahan sona tha

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
vaañ se ghar aa ke kahāñ sonā thā
sub.h tak yaad thī aur ronā thā
jab huī sub.h to bistar se phir uTh
girya-e-ḳhūnī se muñh dhonā thā
dho chuke muñh ko to kisht-e-dil meñ
tuḳhm ġham kā hameñ phir baunā thā
bo chuke tuḳhm to paayā ye samar
ki jigar-Kāvī thī jī khonā thā
jī ke khone ke ho darpai ye kahā
ki nasīboñ meñ yahī honā thā
honā qismat kā kaheñ kyā tā-shām
ham the aur ghar kā bas ik konā thā
kone lag baiThe to 'jur.at' ai vaa.e!
phir vahī raat thī aur ronā thā
Top Urdushayar.com