Siraj Aurangabadi

dil mein KHayalat-e-rangin guzarte hain jiyun boss phulon ke rangon mein rahiye

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
dil meñ ḳhayālāt-e-rañgīñ guzarte haiñ jiyūñ boss phūloñ ke rañgoñ meñ rahiye
vahshat ke jañgal meñ kab lag pareshāñ ho ġham ke bhāroñ ke sañgoñ meñ rahiye
jo koī ki hai dasht vahshat kā sākin use hosh ke shahriyoñ se hai nafrat
ye dīvāngī kā nipaT ḳhuub aalam hai zanjīr kī jā ulañgoñ meñ rahiye
pindār-e-hastī señ vahmī ḳhayāloñ ne kasrat kī tohmat lagā.e haiñ nāhaq
dar-asl meñ josh-e-tūfān-e-vahdat hai jiyūñ mauj-e-dariyā umañgoñ meñ rahiye
is sarv-qāmat ke josh-e-mohabbat meñ az-bas ki āzād sab señ huā huuñ
mānind-e-qumrī badan kuuñ lagā rā kah yaahū ke dam bhar malañgoñ meñ rahiye
nāhaq 'sirāj' āh-e-hasrat kī ātish señ har dam meñ sau baar jumbāñ sabab kiyā
yakbār sho.ale pe girne kī tarhoñ kuuñ ma.alūm karne patañgoñ meñ rahiye
Top Urdushayar.com