Jurat Qalandar Bakhsh

jahan kuchh dard ka mazkur hoga

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
jahāñ kuchh dard kā mazkūr hogā
hamārā sher bhī mash.hūr hogā
jahāñ meñ husn par do din ke ai gul
koī tujh sā bhī kam maġhrūr hogā
paḌeñge yuuñ hī sañg-e-tafraqa gar
to ik din shīsha-e-dil chuur hogā
mujhe kal ḳhāk-afshāñ dekh bolā
yahī ushshāq kā dastūr hogā
huā huuñ marg ke nazdīk ġham se
ḳhudā jaane ye kis din duur hogā
vahī samjhegā mere zaḳhm-e-dil ko
jigar par jis ke ik nāsūr hogā
hameñ paimāna tab ye degā saaqī
ki jām-e-umr jab ma.amūr hogā
jo yuuñ ġham nīsh-zan har dam rahegā
to phir dil ḳhāna-e-zambūr hogā
yahī ronā hai gar manzūr 'jur.at'
to bīnā.ī se tū ma.azūr hogā
Top Urdushayar.com