daam meñ ham ko laate ho tum dil aTkā hai aur kahīñ
sher paḌhāne ham se aur mazmūn gaThā hai aur kahīñ
āñkheñ zarā milānā idhar ko kyuuñ jī ye kyā bāteñ haiñ
baat kī ham se uThānī lazzat jī kā mazā hai aur kahīñ
haq to hai kuchh hāl-e-dil apnā kahte haiñ jab tum se ham
kaan lagā.e sunte ho par dhyān lagā hai aur kahīñ
dekhiyo ye ayyārī koī kyā kyā ham ko lapeTe meñ
vo but-e-pur-fan letā hai dil jis ne diyā hai aur kahīñ
Tok ke us se baat karūñ to yuuñ vo kahe hai chitvan meñ
mujh ko na chheḌo dhyān ajī is vaqt mirā hai aur kahīñ
ham se zabānī milne ko tum kahte ho ham jānte haiñ
dil se par aane jaane kā iqrār kiyā hai aur kahīñ
dekh ke ham ko jo kahte ho tum aao baiTho baat karo
bāteñ ye sab zāhir kī haiñ uns huā hai aur kahīñ
ab to kuchh hamdard se mere aate ho tum mujh ko nazar
tum sā shāyad koī pyāre tum ko milā hai aur kahīñ
baiThe ho mujh paas va-lekin ghabrāne se nikle hai
aañkh bachā kar uTh jaane kā dhyān bañdhā hai aur kahīñ
zāhir meñ tum kahte ho mujh ko baiTho abhī to jaao na ghar
mujh ko to ma.alūm hai jo paiġhām gayā hai aur kahīñ
bāteñ kar ke lagāvaT kī ye kāfir huuñ gar jhuuT kahūñ
dil ko mire tum lete ho jī nām-e-ḳhudā hai aur kahīñ
haif hai us ke hone par jo yaad karo tum ġhair ko jaan
'jur.at' meñ jo nahīñ so aisī baat vo kyā hai aur kahīñ