Jurat Qalandar Bakhsh

kab koi tujh sa aaina-ru yan hai dusra

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
kab koī tujh sā ā.īna-rū yaañ hai dūsrā
hai tū tirā hī aks numāyāñ hai dūsrā
pūchh us kī mat ḳhabar jise nāseh siye thā to
vo dhajjiyāñ uḌā ye garebāñ hai dūsrā
shakl un kī ye hai jo ki haiñ mahv-e-jamāl-e-yār
shashdar khaḌā hai ek to hairāñ hai dūsrā
ruḳh us kā dekhiyo shab-e-mahtāb meñ koī
goyā zamīñ pe ye mah-e-tābāñ hai dūsrā
kyā dil jigar kī kahiye tamannā-e-vasl meñ
hasrat bharā hai ek pur-armāñ hai dūsrā
vādī-e-ishq meñ hameñ barsoñ yuuñ hī kaTe
ik dasht tai kiyā ki bayābāñ hai dūsrā
tere ḳhirām-e-nāz ke sadqe ki kab koī
aisā chaman meñ sarv-ḳhirāmāñ hai dūsrā
ġham-ḳhvār-o-mūnis ab tire bīmār ke haiñ yuuñ
taskīn ek de to hirāsāñ hai dūsrā
'jur.at' ġhazal paḌh aur ik aisī ki sab kaheñ
kab is tarah kā koī ġhazal-ḳhvāñ hai dūsrā
Top Urdushayar.com